Maa

    0
    0

    12th September 2024 | 4 Views | 0 Likes

    Info: This Creation is monetized via ads and affiliate links. We may earn from promoting them.

    Toggle

    maa mera jivan sanwarti hai
    buri najro se bachake rakhti aur najar bhi utarti hai
    maa hamari care karti dinbhar aankho se niharti hai
    Maa hume jeene ke layak banati hai 
    Maa hume apnatva sikhati hai
    maa ka aanchal  hai sheetal  thandi chhaya
    maa ke har sparsh se mera man muskaya
    Maa hai mamta ki murat 
    Maa ke charano me hai jannat sara
    maa ki aankho me sansar hai sara
    maa k karan lagta duniya pyara
    Maa ne hai hume bolna sikhaya 
    Apni aawaz ko hamari aawaz banaya
    maa ne hame chalna seekhaya
    har sahi raste ka paath parhaya
    Maa ne hame padhna sikhaya 
    Hamari pehli shikshak ne vidyawaan banaya
    sabse swadishta khana banati hai maa
    sabko khilakar aakhir me khati hai maa
    Sara kaam karke thak jane par bhi , sabko kahaniyan sunake sabse aakhir me soti hai maa
    maa ka har kaam hota hai achcha
    maa se barhkar koi dost nahi hai sachcha
    Maa ne hume dosti ka matlab sikhaya , pehla dost khud ban kar dikhaya .
    kudrat ka vardaan hai maa
    hamara vajood hamara abhiman hai maa
    Maa se hai yeh jagat aaya 
    Maa hai khubsurati ki maya
    maa k dil me anant prem samaya
    maa ne hamko jeena seekhaya
    Maa shabd me hai prem ki asha , 
    Maa ne hamari ashaein puri karke dikhaya
    jab ham beemar hote raat bhar na soti hai
    karti rahti dua aur chinta
    apna sukh chain bhi khoti hai
    maa ka.pyaar  jitna anmol nahi hai koi
    maa k jaisi meethi bol nahi hai koi
    sabse pyaari sabse bholi meri maa hai duniya ki jannat
    umar ho sau saal maa ki yahi bas meri ek hi mannat

    You may also like