Tree

    1
    0

    12th September 2024 | 5 Views | 0 Likes

    Info: This Creation is monetized via ads and affiliate links. We may earn from promoting certain products in our Creations, or when you engage with various Ad Units.

    How was this Creation created: We are a completely AI-free platform, all Creations are checked to make sure content is original, human-written, and plagiarism free.

    Toggle

    mai ek vrikhsa hun.kaafi saal purani bahot sari pirhiyan dekha maine kaafi lambi jivan gujara maine .meri jaden jameen k bahot gahraaiyon me dhansi hai.meri sakhayen aasman ko chhuna chahti hai

    Kaafi tarah ke insaan baithte hai meri chaya me , maine logo ko bhedbhaav karte dekha , par mere liye sab ek hai , par meri sunke samanta ka paath seekhna na chahta koi .

    chidiyon ka ghosla bhi hai meri shakhaon me.mai jaise praniyon ka ghar ban jata hun kabhi.toh kabhi baarish se bachne ka chhappar toh kabhi dhoop se bachne ki raahat bhi deta.sare mausamon ko dekhta hun.yunhi ek jafah chupchap.sare praniyon ki aawzjen gunjati hai mere angan.me.mere patte gir jaate jab mai apna roop badalna chahta.par mai vahi hun.ek vriksha.jo ek jagah chupchap sab kuchh dekhte rahta.

    Dukh hota hai ek jagah rehke bhi , aur khushi bhi , dukh isliye ki mai burai rok na sakta , par khushi ialiye ki mai burai me shaamil nahi . mai ek vriksha hun par meri prajati ginti me hai , par aaj tak mai manushya ki prajatiyon ki ginti na kar paya .

    anginat patte hain mujhme .ye patte bhi ek din gir jate hai.aur naye patte bhi aa jate hain.jab hawayen chalti hai.mai lahra utthta hun.ye hawayen.mere liye kisi sangeet se kam nahi jiske chalne se mai naach utthta.jab ye hawayen ruk jati mujhe pata hi nahi chalta ki mera jivan hai bhi ya nahi.kyunki hawayen jab hila deti mujhe.mujhr mere hone ka ehsaas dila deti hai.nahi toh mai toh ek jagah chup rahta hun.

    Agar mere patto ki ginti ki jaye toh duniya hai isme saari , par kisi ko nahi hai sabar mujhe ginne ka , sirf kaatte hai mujhko is duniya ke raahi . Mujhe kaatne pe hawa rusht hoke tufaan lata par kise phikar kisi ke jazbaato ki , apna kaam banta bhaad me jaye janta : is jagat ke raahi karte hai isko amal.

    mai jab aaya tha is jahan me tab maalum na tha ki kitni lambi aayu hogi meri.par ab lamba jivan jite hue ek bazt kahna chahta hun.logon.ko martr dekha.par mai nahi marta kabhi jab tak meri jaden jameen me hai.isliye mai sabki bhalai me jivan vyatit karnz chahta.meri sakhaon se giri lakdiyan logon.k kaam aa rahi meri chhaya dhoop aur barish se bachati hai.kah toh nahi sakta kisi ko kuchh.par itna chahta ki jivan jab ak hai loon k kaam aata rahun.

    Mai chahta bhi wahi hun jo log mujhse chahte hai , mast zindagi jiya hun waise , kshama karein thodi si truti hui , “saubhagya” se mai mast zindagi jiya hun , warna maine apne saathiyon ko rote dekha hai . garmi ki un sukhi dopeher me kabhi kisi ne humko jalropan karna nahi chaha , nadan log , woh nahi jante ki agar woh mujhe jal dete toh mai bhi unhe chaya aur thandi hawa aur meethe fal deta , khair sab achche hai , mera pariwar haj yeh jagat .

    mausam badalkar bahot sare ehsaas dete.jaise garmiyon.ki tapish sabnami baarish ki laalsa deti.aur baarish ka mausam chain sukun ka ehsaas deti.aur thand ka mausam khushiyan dekar jivan.me hariyali bhar deti.meri bhi khushiyzn anant hzi.jo naye naye mausamon.k sat naye naye sabzk de jati.mausamon se bhi sikayat nahi mujhe jab har mausam.me mai bhalai ke kaam aa jaya karta.

    Mausam mausam mausam , yahi hai mera asli saathi , mere saath sirf yahi hai chalta , ek baar ki baat hai mausam bohot dukhi tha , bohot barsa , kuch log khush the toh kuch dukhi , par wahi sirf mere saath tha jo mere dukh me barsa tha , dukh dhoke khushi laayi hai is mausam ne sadaiv meri zindagi me.

    aasmaan chhuna chahtz mzi par apni sakhaon se nahi.apne karmon se.achche karmo se.achche karmo ki taarif na karwzna chahta par ek gujarish hai meri praniyon se. mujhse pahle jab khuda se bhent ho toh use dhanyawad kahna meri or se jisne is jahan ko banaya aur mujhe is layak jo dusron k kaam aa saka.

    Serene OP Genuine X

    @Serene-OP-Amitabh-Genuine-X

    Following-1
    Followers4


    You may also like