Jivan ki gadi ka pahiya ghumata chala jata hai.
Kabhi hasata , kabhi rulata hai.
Bachpan to hastai khailatai guzar jata hai
Amir ho ya garib, ye kha fark kar pata hai.
Jawani ki dahliz par kadam rakhtai hi, bahut si chintao ka bojh bad jata hai.
Wo hasta khelta bachpan,kitni jaldi gujar jata hai.
Phir sia, ek nai umang le kar jawani udan bharti hai.
Kuch naye, aur kuch rangeen sapnai bunti hai.
Bahut sai khayal dii mai atai haen.
Kuch hakikat, aur kuch khawab ban jati haen.
Kuch nai rishto ka ahsas banta jata hai.
Aur kuch rishtai, pichai chut jata haen.
Ek mukam hansil kar kai, jab umar dhalan leti hai.
Phir sai jindgi,ek nai kahani kahti haen.
Kuch acha aur kuch bura anubhav, judta chala jata hai.
Jivan hai sahab na rukta hai, na ruknai deta hai.
Bus chalta chala jata hai.
Kahani ka aant sabka alag alag hota hai.
Par phir sai jeevan ki shurawat mai, wahi payara sa bachpan hota hai.
Comments