yu hi har baat pe hasne ka bahaana yaad aae,
phir vo masoom sa bachapan ka zamaana yaad aae,
Aaj zimmedari se bandhe hai mere hath,
kaash phir se mere haathon mein wo bachpan ka khazaana aae,
kaash zindagi ki bhi fitarat ho meri maa jaisi,
jab main bin baat ke ruthu to wo manane aae ,
ham ko zindagi hi sikha deti hai kitni baate,
kaash zindagi ko bhi bachpan sa sikhana aae ,
Jab milti thi chhutti school se ghar jaane ke liye,
wo hamara bachchpan me shor machana yaad aae,
Aaj zindagi zimmedari me uljhi hui hai ,
Wo baston me uljha hua bachpan ka zamana yaad aae.....
#milyin #creation #positive #quotes #poem #poetry
Comments