Rakha tha kadam badi ummedo ke sath collage ke is campaus me maine. Thi dil ko umeed mujhse badi aankho me the bhut se sapne.
Sare sapne pure karne the apne…wo sapne Jo mummy papa ne dekhe the mere liye….
Par hostel Life ki hakikat kuch aur thi….meri kismat apni Manzil se kosho dur thi……
Hostel me padhai k sath sath Masti bhi hoti thi ..hum jag rahe hote the jab sari duniya soti thi …..
Neend Puri karte the lecture me apni ….hui thi teachers se bin mol liye dushmani.
Class attend karne ko wo dhamkate the …beta dikhaunga practical me aise humko drate the..
Dekhte dekhte semester nikal jata tha… exam ka date sari khushiyan cheen le jata tha ..
Exam bhi jaise taise guzar jate the….farre ke hi sahare 80 percentage ki aas jgate the….
Uske baad halat kuch aisa ho jata tha .. result ka date bhut se bhi jyada drata tha..
Par result ko toh aana tha aur wo ek din aata tha …kisi ko dhero khusi kisi ko na jaane kitne gum de jata tha…
Aise hi pankh lgakar charo saal ud jata tha ..last me dosto se dur Jane ka waqt aa jata tha…..
Last me dosto se bichhad hi jate the…apni apni manzil ki aur agrasar ho jate the..
Kuch saal baad manzil toh milti thi hame par wo dost nhi milte the ..Bahare aati toh thi par pehle jaise phool nhi khilte the..
Phir se un pal ko wapas lane ka jee chahta hai… Ek baar phir se collage life jeene ka jee chahta hai…
Comments