Vo kehti Hai, tjhme aur Meri beti me koi fark nhi,
Vo kehti Hai, tjhme aur Meri beti me koi fark nhi.
Is Ghar ko bhi tu apna smjh,
Tu mere bachho si hi hai
Par najane Kyo vo Har mitha apne bete ke liye banati Hai,
Kyo hamesha kehti Hai pahle use khila de,
Kyo hamesha khana beti / bete se puch ke banwati Hai,
Kyo mjhe har kaam ke liye izzazt leni padhti hai par Didi to bus keh Kar chali jati Hai..
Kyo Thandi Roti mere nasib me aati,
Kyo mjhe Saja Kar Rishtedaro se milwati Hai,
Kyo mere chote kapdo se unki izzazt Kam ho jati,
Kyo Har teej, tyohar mere Maa Papa se uphar ki aas lgati
Aur jo bhi vo de de usme 2-4 kami ginnati..
Kyo kabhi nhi kehti, ye Ghar Tera hi Hai.. Jaise Mann ho vaise saja
Ye ghar Tera hi Hai, Jo Mann ho vo Bana
Ye Ghar Tera hi Hai, apne marzi se saj sawar jaa
Ye ghar tere hi Hai, chahe jaise Mann vaise isse Basa.
Kyo kabhi nhi kehti, ye Ghar Tera hi Hai..
Comments