Maa tu sab janti h, Per kehti kuch nahi
Main sab samjhana chahta hu
Par vo shabd mile nahi kabhi
Main mushkil se guzarta hu
Tere sath na hone per darta hu
Pata shayad mujhe bhi h, ki akele chalna h
Per phir bhi,
Mujhe har manzil per tujh se hi milna h
Baba to kher jhadka hi dete h
Kabhi gussa karte h kabhi dapatyiyai dete h
Khabar mujhe bhi h we kya kerna chate h
Tabhi to khoob sunane ke baad
Ek gheri seeekh de jate h
Samajh to raha hu
Per phir bhi aap chaiye
Duniya ke us shikar tak pauchu kabhi
To waha bhi ma baba chahiye.
Comments