Mere un lafson se paimaane ko naa tolna
Meri Ungli tum bs yun hi thame rakhna
Mujhko akela kahin mt chodna
Dar bs is chiz se lgta h ki tumse bicchad na jaon khi,
Tum pass ho to har chiz mukammal ho jayegi
Tum nhi to meri gairat bhi so jayegi
Soyi hui gairat ko fir se kon jagaega
Humse ab fasle or ye dooriyaan shi nhi jaati
Bus kuch baaten h jo yun hi khi nhi jaati
Apne pass bulane ko dil bhi bhot chahta hoga
Door h ye soch kr dil bhi ghabrata hoga
Vo Tumhara subah hath thamkr neend se uthana
Vo tumhara pyar se mujhe pukarna
Aur jab koi kaam ho to dahi cheeni khilakr bhejna
Bhot yaad ata h
Chlo chodo ab in baaton ko beeti hui in yaadon ko
Par such btana kami to tumhe bhi humari khali hi hogi
Par hum ab ye baate lafzon m naa keh paayenge
Kehne ko to raat saari teri God m hi beetanyenge
Aur in sub ke beech kuch ankha sa reh jayega
Yaad to phir bhi teri aayegi aur kuch to phir bhi choot jayega
Aur ye sub kehte hue
Teri ott m liptkr reh jayenge…………. Sukoon se hum wahi hi to so paayenge…………
Vo baatein jo kabhi khi nhi jaayengi
Aur pyar m yun hi nikal jayegi
Comments