Meri khata
Meri hasi tumko bari pasand thi,
phir kaisy yeh hasi tumko bezaar kargai,
mai bolti bohat thi tum sunty thy na mujhy
phir kyun aj baat he kharab hogai,
mai khamosh rehny lagi tumny gor na kiya,
mai chup hogai tumny waqt na diya,
meri hasti tou jaan bejaan hogai,
main kahan itni khatawaar hogai,
mai mehfil mai jo zor sy hans dun agar tum deedh barha dety ho,
mai dar jati hun tumsy seham jati hun andar sy
tum yun mujhy bin anso rula dety ho,
mai chanchal c shoq si Karishma thi
aj chupchaap c bus ek larki hun,
meri khata kiya thi mera gunnah kiya tha tum jo yun saza dety ho.
haye yeh berukhi yeh bezaari tumhari mujhy mar dalygi
mai kahan itni khatawaar hogai
kahani bus yeh khatam ab hoi k khamosh apki agosh main
mai khush hun apk sath is baat ka mujhy yakeen hai,
meri khata ka pata tou nahi par dil bara udaas hai mai wo nahin jo mai thi
par dil ko tumsy piyaar hai
yeh apka zakham mainy tohfa samjh k lyliya par dil ko bara malaal hai
mujhy aj bhi apsy piyar hai mujhy kal apsy piyar tha,
meri khata ki yehi hai saza k mera ishaq hai meri beriyan or zindagi tumhari gulaam hai!
Comments