Dekho Dekho yaaron yeh paigam aya hai, sang apne khushiyon ka sawgat laya hai, yeh tofa hai hero se bhi anmol, khuda sab ke paas ho nahi sakte isliyea maa jaisa anmol tofa ata farmaya .
maa Suraj nikalne se Pehle uththi , aur Akhir peher tak kaam karti, takleef sab haste hue sehti, aur zarurt par hero ban dil jeet dikhati,
akhir maa hai janab, anshqo se duniya ki geet sikhati , logo se nahi bacho se apni zindagi bnati, haste hue hmre sapno ko bhi apna bna leti,
zindagi hme do rah dikhati hai , kabhi hme bacha bnati hai, toh kabhi maa papa ka bachpana bhi samne lati hai, whi kahani phir yeh zindagi hmre sang dohrati hai,
mushkil se par yeh zarur sikhati hai, jannat jha maa ke kadmo main dikhati hai, whi jannat ki rah papa ke zaryea hme baya farmati hai, yun lakho hurf maa sikhati papa chup reh kar hi zindagi btate,
agr atak jau kabhi toh papa farmate, uth aur bhag zarur jeet jayenge, har mushkil ko dafa kar , jeet ko sir ka taj banyenge,
chup reh kar kabhi housla de jate, toh kabhi gltiyon par fatkar lgate, par ek baat toh harr dafa farmate, saath duniya nhi housla degi, dhoka khuda nahi manjil degi, azmaish ko tum azmana, apne sapno ko jeet fulo ki raha bichana,
yeh mummy papa hai janab , khud reh jayenge tadap main, par hmri zindagi ko sjayenge, khuda ki nemat tofa hai yaaron , sambhallo kuki sab ko nah h ata yeh tofa , taras ek jhalak ko jate hai , aaj muskura kar purani yaadein yaad dilate hai, tabhi toh khuda sb ke paas nah ho skta isliyea, MAA PAPA jaisa anmol tofa ata farmaya . ———— Heartswrite.
Comments