Aaj woh bole
Are suno mere office ke mitr a rahain Hain
Khaane par , bana lena kuch acha jam kar
Woh bechari abla nari
Khoon ke aanson pee kar
Rasoi ghar main jakar
Karne lagi taiyari
Bhool ke apni bimari
Khana sab taiyar kiya
Itne main a gaye miya
Woh boli mujhe bukhar hai
Khana sab taiyar hai
Main sone ke liye ja rahi hoon
Pati bola acha theek hai magar khana kaun parosega
Humse theek se nahi lagega
Us bechari ki aankhein bhar aayi
Pati hain yeah kasai
Dawai khai khana kha liya
Ek baar bhi nahi poocha usne
Sab chod ke woh Chali gayi khana lagane
Dost log a gaye
Khana kha ke bole
Kitna acha khana tha bhabhi
Aap thak gayi hongi
Aap so jaaye
Rasoi ghar hum saaf kar denge
Usko laga sapna hai
Aisa kaun karta hain
Ek dost nay poocha
Bhabhi apne kha liya
Doosra dost laaya thaali
Bhabhi jaldi kijiye khaali
Un logon main isse dikhe maa baap
Rote rote khana khaya Aansoonyon main khushi gam dono ka tha ehsaas
Khaane ke baad aayi usko saans
Pati sab dekh raha tha
Mard yeh sab bhi karte hai kya
Usko nahi pata tha
Uske pita ji nay kabhi
Rasoi ka rasta nahi dekha tha
Aaj doston se kuch acha seekha
Patni ko chadar udai
Subah uthkar chai pilayi
Tum karo araam
Biwi ke liye banai kichchdi jisme namak tha kam
Biwi boli bahut achi hai, mit gaye saare gam
Ladkon ke ma baap se nivedan hai
Rasoi ka kaam sikhaye, avedan hain
Mil jul kar kaam karne se badta hai pyaar
Aur khushiyon se bhar jata hai sansaar
Meri kalam se
Comments