Picture4

Zindgi – Tera Sukriya

    Anurag Maurya
    @Anurag-Tutorial
    0 Followers
    0
    0
    0
    0
    0 Likes | 43 Views | Sep 12, 2024424752 | 6135

    Aapko bhi ye lagta h kya, ki aapki jindgi badi taqlif me gujar rhi h
    Ya aapke sath hi sab bura bura sa ho rha hMujhe bhi yahi lagta tha,
    Lagta tha, yrr ye apne sath hi ku hota hai.
    Ku hamesa ek na ek nayi musibat aati rahti hai...
    Maine kaaii dafa ,mann ko nochne wali iss pahelii ko suljhane ki kosis kiya..magar har baar  khudd hi ulajhh jata ..

    Magar fir Maine jindgi se kuch sikha , 
    Kuki ya bhout kuch sikha deti hai, aur bhout kuch dikha deti hai..

    Maine footpath per bhookee bachoo ki khali pet ko nazarandaz krke , muskurtae dekha..
    Maine unke kachhee ghar dekhe, barish me jhopti se pani tapkate dekha , tip tip , tip tip
    Uss pita ke mauyyssi bhari ankho ko dekha , jisne na jane kaise apne dill ke bhitar , na jane kaisii bandhh bana rakhaa hai
    Aisee lagta jaisee aanshuoon ki barishh se , abb ye bandhh jadya der ni tik payega.

    Aur fir Uss himmatii maa ko dekha,  jo sabko samet ker rakhi thii, jo der raat dusre ke ghar ke bartan saaf kerke aati , aur fir na jane kaise , kitni mehnat se , raat ka kahna pakati .
    Aur har din sone se pahle bss yahi sochti ki, aye zinddgi , Tera sukriyaa, aaj mere bachoo ko kahna mil gya, bss kal bhi kuch khane ka ho jaye .
    Aise hi na janee kitni sadiyaa beet gyi,
    Par maine sikhaa iss zindgi se..
    Zindgi ko Kosnee wala mai kon hota hun, agar wo bachee , Uss zindgi ko sukriya kar sakte hai, to mujhe kosne ka koi haqq ni.

    Hn hogi aapki jindgi me bhi bhoit pareshaniyaa..

    Kiiske life me ni hai..?
    Amir se garib, bachee se bud

    hee, sabko to hai pareshani...
    Magar zindgi na sabko sikha deti hai , 
    Zindgi sikha deti hai, bhookee peet sonaa..
    Zindgi sikha deti hai, bina chatt rahnaa
    Zindgi sikha deti hai, mussibat me bhi khuss rahnaaa.

    To yaaroo khuss raho aur Zindgi ko sukriya kahoo..
    Ki aapke sab ye Zindgi hai..
    Kuch ho ya na ho , aapke paass ye jivan hai, kafi hai!

    To issee khull ke jiyoo.

    ~Anurag