"This is a piece of fiction!!"
"Tu Jb thi Tb har dava si thi meri, yuu rooth kr gyi to ek saza de gyi,,
Ek baar-paas bulakar gale lga to le, kasam se tu mujhe yuu adhoora chod gyi!!"
May be you were not mine but, i had a great experience of being yours. May be you were not mine but, I received an amazing gift from god of living some part of my life with you. May be you were not mine but, I got a chance to relive my childhood with you. May be you were not mine but, I got someone who changed my perspective of living. May be you were not mine but, I really wanted you to be.!! Kl shaam baithe-baithe ek dum se tera khyaal aaya, dimaag me sirf aur sirf tu aur teri kuch haseen yaadein chal rhi thi. Pta nhi kyu mai bewajah muskurane lga shayd ye wo yaadein thi jo sath me jee thi hmne. Mere paas zyada shabd to nhi hai kuch kehne ko lekin tb bhi koshish krunga. Shyad tujhe bhi lgta ho ki kitna kuch badal gya hai lekin agar sach baat kroo to kuch nhi badla. Hm wahi hai jahan pehle the, sath milkar kisi ka majak udana ya fir ldte rehna aur ek dum jb hmari aakhen takrati thi tb hm bhi nhi samjh paate the ki ye kya hua! Aksar es baat ko dono chod kr aage badh jaate the. Lekin kahin na kahin mn wo sawal reh jatat tha "KYA KUCH HAI?" Aksar dono ki katrate the isme ulajne(fasne) me. Shayd iska karan dono ke lie ek sa tha kyuki pehle bhi koi aur tha hmari zindgai me jisne jane ka gm sehen nhi kr pae the. Aur koi fir se wahi galti nhi krna chahega. Lekin jaise-jaise hme ek doosre ko jaane ka mauka mila to jahan hm ldte the wahan ab mithi-mithi baate hoti thi. Jahan hm doosro ka majak udate the wahan bs ek doosre me aur khona chahte the lekin kisi me wo himmat nhi thi bolne ki. Aksar ab jb bhi aakhein milti thi tb kuch waqt tk ek doosre ko niharti rehti. Ab hme duniya se pare thoda waqt chahiye the hmare lie. Taki kahin na kahin kisi na kisi ke mooh se wo baat nikal jae ki "KYA KUCH HAI?" Dono hi iska jawab tyaar lekar baithe the lekin koi bhi poochne ko tyaar nhi tha. Samay ke sath sb bdlta lg rha tha. Ye anjaana sa rishta atoot hota ja rha tha lekin koi bhi ispr tag nhi lgana chata tha. Ab wo baatein honi shuru hui jo aksar hm kisi se nhi krte the. Ek doosre ko zyada se zyada waqt dena chahte the lekin ye duniya aur iske log!! Mujhe aaj bhi yaad hai jb hmari thodi lambi ldai hui to mai aksar tere peeche baitha krta tha aur itnjaar krta tha ki kb hawa chalegi aur teri zulfe mere moo ko choo kr niklengi. Wais e maine shyad hi aaj tk tere balo ki tarif ki ho lekin unke aur mere moo ka kuch alag sa hi tha. Jaise rooh ko wo mil gya jiski talash me wo tha. Aksar hmari ldai zyada chalti nhi thi lekin tb bhi ldai ke beech bhi kabhi kabhi mn krta tha sb yahi rok do, aur sirf tu bolti rhe aur mai sunta rhu. Shyad ye ldai hi thi jo bina btae hme aur paas le aaye. mujhe teri rooh se ishq hone lga tha naki teri shareer se. MAi tujhe sametkr apne paas nhi rkhna chahata tha lekin tu hmesh amere paas rhe. Aksar teri hr harkat ka mujhe dyaan hota ur syaad tujhe bhi meri ka.
"Ye na jane kaunsa ishq hai, jo sirf uljha hua sa lgta hai,,
lekin ye tbhi sulajh jata agar koi pooch leta ki,, KYA KUCH HAI?"
PART-1 Ends!!
Comments