maa mera jivan sanwarti hai
buri najro se bachake rakhti aur najar bhi utarti hai
maa hamari care karti dinbhar aankho se niharti hai
Maa hume jeene ke layak banati haiÂ
Maa hume apnatva sikhati hai
maa ka aanchal  hai sheetal  thandi chhaya
maa ke har sparsh se mera man muskaya
Maa hai mamta ki muratÂ
Maa ke charano me hai jannat sara
maa ki aankho me sansar hai sara
maa k karan lagta duniya pyara
Maa ne hai hume bolna sikhayaÂ
Apni aawaz ko hamari aawaz banaya
maa ne hame chalna seekhaya
har sahi raste ka paath parhaya
Maa ne hame padhna sikhayaÂ
Hamari pehli shikshak ne vidyawaan banaya
sabse swadishta khana banati hai maa
sabko khilakar aakhir me khati hai maa
Sara kaam karke thak jane par bhi , sabko kahaniyan sunake sabse aakhir me soti hai maa
maa ka har kaam hota hai achcha
maa se barhkar koi dost nahi hai sachcha
Maa ne hume dosti ka matlab sikhaya , pehla dost khud ban kar dikhaya .
kudrat ka vardaan hai maa
hamara vajood hamara abhiman hai maa
Maa se hai yeh jagat aayaÂ
Maa hai khubsurati ki maya
maa k dil me anant prem samaya
maa ne hamko jeena seekhaya
Maa shabd me hai prem ki asha ,Â
Maa ne hamari ashaein puri karke dikhaya
jab ham beemar hote raat bhar na soti hai
karti rahti dua aur chinta
apna sukh chain bhi khoti hai
maa ka.pyaar  jitna anmol nahi hai koi
maa k jaisi meethi bol nahi hai koi
sabse pyaari sabse bholi meri maa hai duniya ki jannat
umar ho sau saal maa ki yahi bas meri ek hi mannat
Comments