Vo purana Roshan Daan,mere kamre ke bayi aur lga,
Chhat se utna hi dur jitna Chhota Mera aatam visvas,
Kbhi kbhi ise dekh k taras aata h ki iski itni purani haalat kisi purane pankhe jaisi h,
Na dur krte bnta h na kisi kaam mein paryog ho skta h.
Chidiya ki Roz ki naakaam kosis, Roshan Daan se aandar aane ki,
Lgta h kisi ke bhi kaam nhi AA paya ye .
Magar roshni se sarabor kirnon ne meri soch ko chup kar diya,
Uss sard Ritu m vo aahsas kisi khajane se km na tha,raat ko Chand ki chandni mujhe maa ki tarah sahla rhi thi,
Agar Roshan Daan achhe se nhi lga isme uska koi dosh nhi ,
Fir bhi hmesha kuch achha Roshan Daan de kar hi jata h,
Fir main kyu apne vajood per parsan chinah lgau.
Mera aatam visvas badal ki tarah Vishal h,
Bs mere man ne ki deri h .
Ye Roshan Daan nhi jeevan ka aiena h .
Comments