Kissi ne bola
Aankhein band karo
Man ki aankhon se dekho
Tumhe kaun si jagah pasand hain
Humne aankhein band Kari
Dikhe door door tak hariyali khet
Uske beech main ek bada sa peepal ka ped
Us ped ki chaav main neeche lete huay hum
Hamare hath main ek kitaab
Kitaab band karke upar dekha to neela
Bada sa khula aasmaan
Man Kiya apni jholi main qaid kar loon
Taazi hawa shudh hawa
Ghaas ki bheeni bheeni Khushboo
Kotak ka Gaana
Isse accha aur kuch nahin ho sakta
Unhone bola aankhein kholne ko
Aankhe kholi toh har taraf oonchi oonchi imaratein
Aasmaan ko chookkar usme ched karne wali
Humein itna bura laga
Man toh Kiya ki
Aankhein band karke hi baithe Rahain
Meri kalam se
Comments