Aawaaz do humko
Aaj ek purane mitr na kiya sampark
Bahut Khush hoke humne poocha
Kaise hon bhai
Aaj kaise a gaye hum yaad
Woh bola
Kuch nahin
Kal bache ka janamdin tha
Uske dost aaye hue the
Khel rahe the
Ek doosre ka mazaak uda rahain the
Lad bhi rahain the
Unko aise dekhkar
Yaad a gaye purane din
Aur usme sabse jyada tumhari chhavi
Kaise khela karte the hum
Kabhi tumhare ghar
Kabhi mere ghar tum
Kitni daant maar khayi hum dono nay
Yaad hain humne hi
Gupta uncle ki khidki ka tooda tha sheesha
Maar khayi thi tumne par hamara naam nahi liya tha
Marte the ek doosre ke upar
Ab tum kaha
Hum Kahan Hain
Roj poora din saath mein bitaane waale
Ab saal main ek baar baat karte hain
Par ek baat hain dost
Ek awaaj main hum dono ek doosre ke paas aane waale
Are rula diya pahle hum bole
Chal tod kissi ka sheesha phir se
Hum daude chale aayenge
Maar kha lenge phir se
Meri kalam se - Prerna
Comments