Aaj ek sajjan se bhet hui
Ekdum bhagwan jaisa rang roop
Vani main chaashni jaisa mithaas
Bacho ki tarah khilkhilaati hui hansi
Aankhon main sacha tez
Munh se nikle huay vachan
Jaise motiyon ka van
Humse baat karte huay
Samjha rahain the
Putri jo hota hai
Ache ke liye hota hai
Humne poocha
Itni jaldi humne ma baap ko kyon khoya
Woh muskuraye
Hamare sar rakha haath
Aisa laga jaise saakshat bhagwan
De rehain hon saath
Kismat main jo likha hai
Woh hona hai
Yeh mat socho ki
Hamare saath hi aisa kyon
Bhagwan ki Marzi isko lo maan
Ma baap ki bano aan maan shaan
Aage badte jao
Ek doosre ka khyaal rakho
Bhagwan ke dhyan main
Karo khud ko arpan
Kitna asaan ho jayega jeevan
Ma baap nay jo sikhaya
Usse kabhi bhoolna mat
Woh upar se dekh rahain hai
Unki divya drishti hain tum par
Tum roti hon toh unhe bhi hota hai dukh
Issiliye sada muskurao
Bana rahega sukh
Hamara man halka hua
Jhuke , un sajjan ke pair chuay
Humein ashirwaad dekar woh chal pade
Humne peeche mud ke dekha
Hum ho gaye aascharyachakit
Koi nahi dikha
Sirf ek allokik divya roshni
Kuch nahin dikh raha tha
Sivaay dhuan ke
Hum to pade rone
Humne kiya naman
Sakshat bhagwan nay diye the darshan
Meri kalam se - Prerna
Comments