Mera yeh maana hai ki
Jo log karte hain aatamhatya
Kya chal raha hota hai unke man main
Yeah toh koi wajah nahi jeene ki
Yeah toh koi rah dikhi nahi samasya ki
Yeah toh dil toot gaya bechara
Yeah phir raha nahi koi chaara
Hum insaan bhi aisa hi karte hai
Koi galti karke apradh angikaar karta hai
Toh hum daanthe hai
Maar pitai bhi kar dete hai
Shayad isse acha tu mar jata bhi bol dete hai
Magar jab woh insaan sachi mai mar jaata hai
Toh hum bolte hai are ek baar mujhe bata to deta
Main sab theek kar deta
Kyon aisa dogalapan
Saaf kijiye man
Bacho ko doston ko
Rishtedaro ko
Dijiye yeh aashwasan
Galti insaano se hoti hai
Baith kar araam se baat karte hai
Samadhan nikalte hain
Aap akele nahi hain isme
Bhagwan ke saath saath hum bhi
Jude huay apke saath
Aao baithkar araam se baat karte hai
Phir na koi hoga akela
sab ko lagega ki
Hain Mera dost , bhai behen ma baap
Jo mujhe sahara denge agar karo main paap
Paap ka kar sakoonga prayarschit
Aur zindagi hogi nischit
Meri kalam se - Prerna
Comments