2 Likes | 4 Views | Apr 16, 2025 Chai ka pyala zindagi ki tarah hota hai
Shudh paani jaise dost mil jaye toh maze
Pani ubalna matlab un dosto n nay sukh dukh dono main diya saath
Chai ki patti deti hai Pani ko rang
Iska matlab saat Janamo ka sang
Gud deta chai to mithaas
Aise hi log mil jaye jo hamesha khush rakhei
Hum ko hasate rahai
Phir aaya safed milavat ke bina waala doodh
Ekdum saaf dil ke log jaisa
Joh sahi galat acha bura sab bule hamare saamne
Chai to paka paka kar Kiya jata hai kadak
Ekdum un rishton ki tarah jinke saath humne dekhe
Har mausam har dukh sukh
Meri kalam se - Prerna
Comments