Ab adhyapika nay kuch aur logon ki madad lekar
Shuru kar diya bhayadohan
Dikha doongi sabko tasveerein, nahi toh
Paise do foren
Us baap nay 2-3 baar diye paise
Samajh mein a Gaya bure phanse
Yahan se nikalne main hi Hain bhalai
Poore parivar ki ticket katai
Ab akhiri baar gaya school
Bachi ka sthantataran praman patra lene
Par pad gaye lene ke dene
Police ki deke dhamki
Bahut saare paison ki maangki
Is baap nay police ko bataya sab saaf saaf
Adhyapika aur uske do saathi ab hain jain main
Koi nahi kar raha maaf
Main manti hon galti hain adhyapika ki
Par kyon nahi koi utha raha
Ungliya us baap ke charitra par
Jisne apni patni apne baccho ko diya dhokha
Le aaya unko aise mod par
Adhyapika ki tasveer poore internet par Hain uplabdh
Bar baap ka naam bhi pata nahi ab tak
Yeh kaisa nyay hain mere bhagwan
Aurat buri aur mard hain naadan
Meri kalam se - Prerna
Comments