Wo sard hawaon ka narm ahsaas, wo sunehri dhoop, Wo purvai jo meri taraf beqaraar si chali thi, Kuch kehna chahti thi mujhse… par mai na samajh saka.
Mere gaon ka wo shaant pokhar, Jis ke kinare se maine suraj ko ubharte dekha tha, Hamesha apna sa laga, hamesha paas raha, Kuch fizaon mein gunj raha tha… par mai na samajh saka.
Advertisement
Oral-B iO Deep Clean Rechargeable Electric Powered Toothbrush
Kaun sa shabd adhoora reh gaya? Kaun sa saath likha tha jo mil na saka? Raat ki chhaya hai, main khud mein dooba hoon, Magar savera aayega… wo lamha phir laut aayega.
Ek gehra raaz jo kabhi samajh na saka, Agar jaan bhi jaaun… kya wapas yahan aa paunga? #Poem #poetry #Sard #Hawaon #Sunehri #Dhoop #purvai #Gaon #Pokhar #Suraj #Fizaon #Adhoora #Saath #Raat #Chaaya #Lamha #Gehra #wapas
Comments