Aaj bhagwan ke itne alokik huay darshan
Ki bus maze hi a Gaye
Aisa laga ki kuch toh ache karm kiye humne
Ki bhagwan ko hum bha gaye
Aankho main se nikle aanso
Par woh namkeen nahi meethe the
Aaj gam ki bajaye woh khushiyon se bhare huay the
Har jagah Mila charanamrit
Jisne bhujayi aatma ki pyaas
Aur mila prashad bhi aisa
Jisko khake hum ho gaye Dhanya bina paisa
Aisa laga Aaj hindu nav varsh par
Ishwar nay diya paigaam
Main aaj se dhyan rakhoonga
Tumhe milta rahain roti kapda makaan
Tumhare daman main rahegi sirf khushiyan
Har taraf khilengi kaliyan
Bus tum ache karan karte jaon
Har insaan main main hi dikhoonga tumhe
Main tumhara dhyaan rakhoonga
Tum bus yaad karte raho mujhe
Meri kalam se - Prerna
Comments