Start creating...Bahut pyaar karta tha tumhe
Aur hamari pyaar ki nishaani ko
Tumhare liye chod diya tha mere apno ko
Ab lagta hai galti Kari thi
Tum par andha vishwas kar ke
Kya mila tumko mujhe maar kar
Meri nanhi pari ke sar se baap ka saaya nikalkar
Kya tha mera gunah
Advertisement
Oral-B iO Deep Clean Rechargeable Electric Powered Toothbrush
Mujhe abhi nahi pata
Bus itna jaanta hoon ki
Meri aatma roti hain ab
Mere maa baap meri beti ko dekh kar
Ab bus itna karo ki
Sudhar jao
Ek achi insaan banne ki koshish karo
Ek beti ek maa ka kirdaar nibhaoo
Meri beti meri pari ko ek achi zindagi do
Ma baap dono ka pyaar do
Usse pehle par itna bata do mujhe
Beti ko apna maanti ho kya?
Usse pyaar karti ho kya?
Meri kalam se - Prerna
Comments