1006363040

Kaun hai aap?

    Prerna Agarwal
    @Merikalamse
    38 Followers
    1
    0
    0
    0
    1 Likes | Views | Apr 25, 2025

    Start creating...Aaj kissi nay poocha

    Kaun hon tum batao

    Humne bahut socha

    Ek beti hoon

    Ek behen hoon

    Ek dost hoon

    Ek biwi hoon

    Ek bahu hoon

    Ek MA hoon

    Aur aisi hi bahut saare

    Kirdaar nibhati hoon

    Phir unhone bola yeh sab theek hai

    Par tum kaun ho

    Tumhara astitva kya hai

    Bahut socha

    Phir bola

    Ki main ek insaan hoon

    Sharir se dakhi hui ek aatma hoon

    Jo pehle bahut shudh har karti thi

    Samaaj ke tarikoo ki wajah se

    Pardooshit ho gayi hoon

    Yeh sunke woh toh chal diye

    Humein soch main daal diya

    Ki Main akhir hoon kaun

    Kya hain mera maksad is zindagi main

    Kya hain mera astitva is dharti main

    Kya Apko pata hai ?

    Meri kalam se - Prerna