Samaj ka sach

    Himasree Deb
    @Dilse
    0 Followers
    0
    0
    0
    0
    0 Likes | Views | Mar 19, 2025

    Paida hote hi us bachi ko kaha gaya

    Aa gayi ma ka zindagi kharab karne

    Q ki uska rang kala tha

    Isme kya sachme uska koi kasur tha?

    Usne kavi jana hi nhi ma ka pyar kya hai hota

    Q ki uska rang gora nahi tha

    Jab bihai gayi jab pati se pyar mila

    Tab v uske apno se hi saha nhi gaya tha

    Kaise is kali ko pyar mil sakta tha

    Budhape me v ma ayi rehne usike pas

    Fir v ma ne usika ninda kiya jake sabke pas

    Rote rote uska ansu jab sukh gaya

    Palat k jawab jab usne diya

    Tab bhi galat usiko bataya gaya

    Zindagi bhar usne kosis ki ma ka pyar pane ka

    Par nakam raha uska har nuska

    Kasur uska kya tha beti hona ya kali hona?

    krisna aur kali ko pujte ho fir kiu fek do unko v

    Jab apni santan ka rang bardasht nhi tumhe v

    Ye paheli wo bachi kavi suljha nahi pai galti uska kya tha beti hona ya kali hona?