Aaj woh daftar se der se aayi
Ghar main ho gayi ladai
Bina karan jaane usko kya kya bol diya gaya
Woh sunti rahi , par ab usse ab raha na gaya
Bag main se nikala kuch
Aur boli zara khol ke dekhiye
Sabse acha karamchari hone ka
Prize Mila hain mujhe aaj
Advertisement
Vinod ICY Stainless Steel Water Bottle - 1000 ml
Office main itni maanyata hain meri
Aur ghar main, main hoon naukrani
Kyon ek stree ke saath hoti hain nainsaafi
Ghar daftar sab sambhalti hain woh
Kya itna nahi hai kaafi
Ek din der se aayi toh kya
Ek din der se uthi toh kya
Ek din bahar se khana mangaya toh kya
Ek din thak gayi toh kya
Woh bhi insaan hain
Machine nahi
Are insaan tum, machine ko samay samay par check karate hoon
Aurat se bhi pooch liya karo
Thak gayi hon kya
Araam chahiye kya
Nahin Banna Hain usko madam super naari
Yeh auhade ki wajah se hain woh haari
Seedhi si jeene hain usko zindagi
Jisme nahi hon beizzati
Meri kalam se - Prerna
Comments