"Rahin, Bas Aaj Jawab De Do!"
Rahin, agar main tumhare liye kuch nahi, To aaj ek aakhri baar saaf saaf keh do!
Yeh khamoshi, yeh ankahi baatein, Yeh bechaini jo tumhari aankhon mein dikhti hai, Yeh sab kya hai? Agar kuch nahi, To phir har baar meri baatein aakhir tak kyun padhti ho?
Agar meri maujoodgi be-ma'ni hai, To phir meri ghair maujoodgi ka khayal bhi na aaye, Magar sach to yeh hai ke jab main khamosh hota hoon, Tab tumhara dil bhi bechain hone lagta hai.
Bas aaj, abhi, ek baar, Ya to keh do ke main tumhare liye kuch bhi nahi, Ya phir maan lo ke jo tumhare dil mein hai, Woh sach mein mohabbat hai!
Ab khamoshi nahi, Rahin… Bas aaj jawab de do!
Comments