Aye Noor-E-Khuda Rutba Tera Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Tuhi Abd Tuhi Maheboob Hua Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Mana Ke Bashar Hain Tu Lekin, Ye Fahm Mein Aaye Naa Mumqin
Hain Jism Jo Tera Be Saya Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Maheraj Mein Farz Namaz Hui, Inaam Shafa-At Ka Laya
Aur Kya Kya Mila Kya Kya Paaya, Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Tu Shafiye Roze Mehshar Hain, Tu Safiye Hauz-E-Kusar Hain
Tu Kasim-E-Aalam Hain Kya Kya, Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Koi Shrah Sadar Ki Chah Kare, Koi Rab Ki Raza Par Jaan Dhare
Tujhe Nasharuh Fatrda Ka Muzda, Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Tu Noore Jabeen-E-Aalam Hain, Tu Bayees-E-Hardo Aalam Hain
Sab Tujh Se Bane Tu Kaise Bana, Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Ye Tera Hussain Adhna Banda, Hain Shamsh Piya Ka Parwarda
Kyun Is Pe Karam Han Tera Sada, Koi Kya Jane Khalik Ke Siwa
Comments