Screenshot 20241114 192752 Gallery

Khamoshiyaa💞

    Ms. Moonlight
    @Ms.Moonlight
    173 Followers
    2
    0
    4
    0
    2 Likes | 7 Views | Nov 14, 2024

    ***Khamoshiyaa*** 

    khamoshiyaa💞 bhi naa jaane kitni baate keh jaati hai,  

    jo lafz🍂 nahi keh paate, vo yeh jata jaati hai.  

    har aahat me chhupi hoti hai kuch ankahi💞 si baatey,  

    sannato me basti hai dard ki barsate,

    dil ki gehraiyo me utrti hai yeh khamoshiya,  

    har dhadkan❤️ me dheere dheere ghulti hai yeh khamoshiya,  

    koi samjhe ya na samjhe,

    yeh apne halat baya karti hai,  

    bina kisi awaaz ke bhi kitna kuch keh jaati hai,🥀

    kabhi yeh ansu💓 ka samandar ban jati hai,  

    kabhi viran raaho ka safar🛤 ban jaati hai,  

    jab zuban🤷🏻 chup reh jati hai sab kuch kehte kehte,  

    tab khamoshiya🌈 apni kahani racha jati hai,

    kuch dard🍃 yu hi khamosh reh jate hai,  

    bina bole hi aksar 💫sab kuch keh jate hai,  

    Dekhte hi dekhte yeh khamoshiya bhi kitni gehri baate keh jati hai....!!!❣️

    #milyin #creation #poem #quotes #lifelesson #newcreation #writing #blogging