***lafzon ki daastaan***
lafzo ki bhi apni hi alag dastaan hoti hai,
khamoshiyo me bhi chhupi unki zuban hoti hai,
kuch lafz pyaar se labo par aate hai,
to kuch dard sehte hue dil me reh jaate hai,
in lafzo me chhupi hai ankahi kahaniya kahi ,
kabhi hasi to kabhi gam ki kahaniya kahi,
Lafz to bayaa kar dete hai yeh dil ke har raaz ko,
Aur yaa to chup rehkar seh lete har jazbaat,
Lafzo ki ek alag hi dastan hai ,
Gairo me apnapan jaga deta hai,
Aur kabhi to apno ko hi gair bana deta hai,
lafzon ki apni hi zuban hoti hai,
kabhi pyaar to kabhi narazgi bayan hoti hai,
jo kehna hai keh do, na reh jaye koi baat,
kyu ki lafzon ki daastan kabhi adhuri nahi honi chahiye....
#milyin #creation #poem #quotes #lifelesson #newcreation #writing #blogging
Comments