
Jab ek maa janam deti hai
Woh khudh ek nya rup leti hai
Mahavri mein woh dard se ladti hai
Bacha hone par marti marti bachti hai
206 hadiyon ke tutne ka dard woh sehti hai
Nazane fir bhi kyun duniya use kayar kehti hai
Niswarath hokar woh bachon ko paalti hain
Fir bhi duniya us par hi gltiyan daalti hain
Jo itna dard sehti hai
Haiwano ki duniya mein rehti hai
Tabh woh takat bhi mar jati hai
Jab woh duniya se ladti ladti thak jaati hai
Bache ki aane ki Khushi mein maa ka dard nhi dikhta hai
Isliye Aaj ek kavi use kalam se likhta hai
Aurat ke dukhon ka koi ant nhi
Uska jeevan patjhar hai basant nhi
Published: | Last Updated: | Views: 45