Img20230704200252
Home » Creations » Wo badal gaye

Share with:


Chand sitaro k wadey kiye the

Par ab nanhi k roney se neend kharab ho jati hai,

Wo saavan me bheegne k wadey kiye the

Ab kaam ki yaad a jati hai

Kabhi us paar phone par main hua karti thi

Ab bas phone par kaam hi chaltey rahte hai

Wo ajnabee apna hua tha jo

Usey begaaney hi acche lagte hai

Sham to Aaj bhi wahi hai, Kya sama badal gya hai?

Main to wahi ruki hu, tumhara karwan badal gya hai?

Kyu karte hai log wo dikhawa jissey wo parey hotey hai?

Kyu jatatey hai pyar Jo  kuch 2-3 saal ka mehman hai

Asliat to wahi jhujhlahat hai Jo unki pehchan hai 

Aisy shadi me kya milta hai logo ko jaha se unka Mann kahi aur chala jata hai,

Dulhan ko Ghar chaubara ma baap,Bhai yaad ata hai

Kyu diye itne saal sasural ki ji huzuri me kyu basaya ye jahan

Wo papa mummy Bhai k sath baithna maze udana,Ab wo batein Kahan?

Wo kahtey hai Kasam se sab vaisa hi hai par ye mann janta hai ki WO BADAL GAYE!



Shashilekh
Shashilekh AparnaLast Seen: Sep 12, 2023 @ 1:37pm 13SepUTC

Shashilekh Aparna

@Social-Media-Experts-Branding.-Marketing.-TM--C-Mehul





Published:
Last Updated:
Views: 3

You may also like

Leave a Reply