Disclaimer/Notice as Provided by the Content Creator
Observations comes from society.
Unchai khawabo ki dor ko thamai, chalti hui wo ladki.
Khulai aakash mai, lambi udan bharnai ki, chahat rakhanai wali wo ladki.
Anjanai chairo kai beech mai ,Hasti maskurti wo ladki,
Bina dare khud ko, bheed mai alag pachan denai ka, hosla rakhnai wali wo ladki,
Kudh ki mehnat pe, itna aitbar karnai wali wo ladki,
Sapno mai, dunia kai har rang ko bharnai wali wo ladki,
Khud sai khud ko hi, payar karnai wali wo ladki.
Isai mai janti thi……..
Par phir, achanak, kuch awazo sai, kudh ko bandha panai wali wo ladki😔😔
Lakho paharo ki uchi diwar kai,pichai kadhi wo ladki,
Apni ichao ko,dusro ki kushi mai, dabanai wali wo ladki.
Har dard aur ansu ko, apni mukurahat mai chipanai wali wo ladki.
Pal pal marnai kai ahsas kai saath, jeenai wali wo ladki.
Aah¡¡¡¡ kisko apni vaytha sunau, yai chitkar karti wo ladki.
Jinai kai naam par, kudh ka aur oro ka, bhoj udathi wo ladki.
Aur phir,ek din, apnai bachpan kai rangeen khawabo aur honslo ko,
Ya to kabr mai dafnati, ya chita pe jalati wo ladki.
Jinahai humamai sai bahut log janati haen…..
Last Updated:
Views: 3